kaash maqbul ho dua-e-adu
kya karun vo bhi mustajab nahin
ab to us chashm-e-tar ka charcha hai
zikr-e-dariya nahin sahab nahin
jama tufan-o-chashm-e-tar masraf
ab masarif ka kuchh hisab nahin
dho diya sab ko dida-e-tar ne
vo nahin dars vo kitab nahin
ishq-bazi ka munh chidana hai
aur vo mausam nahin shabab nahin
teri ankhon ke daur men kya kya
sehr rusva nahin kharab nahin
mukhtasar hal-e-chashm-o-dil ye hai
us ko aram us ko khvab nahin
jo sarapa-e-yar ‘azurda’
tere divan ka intikhab nahin
Leave a Reply