kaḌi hai dhuup kare kis tarah safar koi
nahin hai raah men ab duur tak shajar koi
main apne shahr men phirta huun ajnabi ki tarah
ajab nigah se takta hai mujh ko har koi
tamam-umr main ḳhud apne aap men gum tha
talash karta raha mujh ko umr-bhar koi
main ek rahguzar ki talash men huun magar
talash karti hai mujh ko bhi rahguzar koi
main barguzida buzurgon ki ik nishani huun
mujhe bhi dekh le ji-bhar ke ik nazar koi
hamari basti men kahne ko log baste hain
makan charon taraf hain nahin hai ghar koi
Leave a Reply