• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kabhi Kisi Se Na Humne Koi Gila Rakkha

Kabhi Kisi Se Na Humne Koi Gila Rakkha

kabhi kisi se na ham ne koi gila rakkha

hazar zaḳhm sahe aur dil baḌa rakkha

charagh yuun to sar-e-taq-e-dil ka.i the magar

tumhari lau ko hamesha zara juda rakkha

ḳhirad se puchha junun ka mo.amla kya hai

junun ke aage ḳhirad ka mo.amla rakkha

ḳhayal ruuh ke aram se haTaya nahin

jo ḳhaak tha so use ḳhaak men mila rakkha

hazar shukr tira ai mire ḳhuda-e-junun

ki mujh ko rah-e-ḳhirad se gurez-pa rakkha

chhapa hua nahin tujh se dil-e-tabah ka haal

ye kam nahin ki tire ranj ko bacha rakkha

vo ek zulf ki lipTi rahi rag-e-jan se

vo ik nazar ki hamen jis ne mubtala rakkha

bas ek aan men guzra main kis taghayyur se

kisi ne sar pe tavajjoh se haath kya rakkha

suna.i apni kahani baḌe saliqe se

kahin kahin pe fasane men vaqi.a rakkha

suna jo shor ki vo shisha-gar kamal ka hai

to ham lapak ke ga.e aur qalb ja rakkha

main janta tha ki duniya jo hai vo hai hi nahin

so ḳhud ko ḳhvahish-e-duniya se mavara rakkha

mire junun ne kiye radd vajud aur adam

alag hi tarah se hone ka silsila rakkha

ḳhushi si kis ne hamesha malal men rakkhi

ḳhushi men kis ne hamesha malal sa rakkha

kabhi na hone diya taq-e-dil ko be-raunaq

charagh ek bujha aur dusra rakkha

nigah-dar mira tha mire siva na koi

so apni zaat pe pahra bahut kaḌa rakkha

tu paas tha to rahe mahv dekhne men tujhe

visal ko bhi tire hijr par uTha rakkha

tira jamal to tujh par kabhi khulega nahin

hamare ba.ad bata aa.ine men kya rakkha

har ek shab tha yahi tere ḳhush-guman ka haal

diya bujhaya nahin aur dar khula rakkha

hamin pe faash kiye raz-ha-e-harf-o-suḳhan

to phir hamen hi tamasha sa kyuun bana rakkha

mila tha ek yahi dil hamen bhi aap ko bhi

so ham ne ishq rakha aap ne ḳhuda rakkha

ḳhizan thi aur ḳhizan si ḳhizan ḳhuda ki panah

tira ḳhayal tha jis ne hara-bhara rakkha

jo na-gahan kabhi izn-e-safar hua ‘irfan’

to fikr kaisi ki saman hai bandha rakkha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Unki Aamad Hai Gul-Fishani Hai

poet

Jang Jitni Ho Sake Dushwar Honi Chahiye

Kal Raat Wo jhagaDti Rahi Baat Baat Par

poet

Raat Bhi Baqi Hai Sahba Bhi Shisha Bhi Paimana Bhi

Pani Ki Tarah Ret Ke Sine Mein Utar Ja

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet