Jism Gher Leti Hai Phir Bhi Zard Tanhai

jism gher letī hai phir bhī zard tanhā.ī

titliyoñ meñ din guzrā jugnuoñ meñ raat aa.ī

chāñdnī kī bāñhoñ meñ gumrahī kā bichchhū hai

aur us ke dāman meñ mere dil kī bīnā.ī

dil ke saare darvāze band the udāsī par

kal phir ek raqqāsa khiḌkiyoñ se ghus aa.ī

ai matā.a-e-jism-o-jāñ chashm-e-tar kī nauha-ḳhvāñ

tū mirī ḳhushī apne ḳhvāb bech kar laa.ī

Leave a Comment