jis ki ḳhatir main ne duniya ki taraf dekha na tha
vo mujhe yuun chhoḌ ja.ega kabhi socha na tha
us ke aansu hi batate the na ab lauTega vo
is se pahle to bichhaḌte vaqt yuun rota na tha
rah gaya tanha main apne doston ki bhiiḌ men
aur hamdam vo bana jis se koi rishta na tha
qahqahon ki dhuup men baiThe the mere saath sab
ansuon ki barishon men par koi bhiga na tha
ashk palkon pe bichhaḌ kar apni qimat kho gaya
ye sitara qimti tha jab talak TuuTa na tha
marmarin gumbad pe rukti thi har ik pyasi nazar
par kasi ne maqbare men gham chhupa dekha na tha
Leave a Reply