jahan hai maktab-e-hasti sabaq hai chup rahna
bada gunah yahan hai alif se be kahna
shab-e-firaq men saae se dar ke kahta huun
aji ye raat darani hai jagte rahna
chaman men phuul khile baagh men bahar aai
urus-e-dahr ne goya pahan liya gahna
hamari ah-o-baka se hai jism-e-shauq qavi
ye haath bayan hai apna vo haath hai dahna
fughan-e-bulbul-e-shaida na janiye is ko
baja raha hai koi sehn-e-bagh men shahna
gham-e-firaq men ai asman nahin mauquf
vo jo suhaen mujhe mujh ko har tarah sahna
nikal de ki hai aise men ju-e-ashk-e-ravan
bura hai baat ka ai chashm-e-dil men le rahna
gali men yaar ki ho ya kisi kharabe men
hamen to hashr ke din tak kahin pe mar rahna
asar bhi ‘shad’ ke sheron men hai matanat bhi
ye kohna-mashq hain in ki ghazal ka kya kahna
Leave a Reply