
Yazdani Jalandhari
jada-e-zist pe barpa hai tamasha kaisa
dost bichhḌa hai har ik gaam pe kaisa kaisa
dil ka atish-kada viran paḌa tha kab se
aankh se bahne laga aag ka dariya kaisa
us pe to fasl-e-ḳhizan maar chuki hai shab-ḳhun
mausam-e-gul ke guzar jaane ka khaTka kaisa
chand se chehre nazar aane lage hain kitne
khul gaya meri nigahon pe daricha kaisa
jis men ik ashk na ho aankh kahan hai vo aankh
buund paani ki na ho jis men vo dariya kaisa
be-tahasha jo baḌhi jaati hai su-e-girdab
naav ne dekh liya us men kinara kaisa
dekh mahfil men har ik aankh hai nam ‘yazdani’
tu ne ye chheḌ diya aaj fasana kaisa

Leave a Reply