• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Bhi Sine Mein Kisi but Ko Sajaya Humne

Jab Bhi Sine Mein Kisi but Ko Sajaya Humne

jab bhi siine men kisi but ko sajaya ham ne

ik hijab aap ke chehre se uThaya ham ne

naam lene se tira baaz na aaya phir bhi

dil-ekambaḳht ko samjhaya bujhaya ham ne

teri tasvir pe kuchh soch ke aksar apna

naam likh likh ke ka.i baar miTaya ham ne

ek ehsas ki bandish ke siva kuchh bhi nahin

aap ke pyaar se is raaz ko paaya ham ne

kabhi is dil ke varaq par jo likhi thi tahrir

tera ḳhat paḌh ke use aaj miTaya ham ne

aaj kis darja bulandi pe hai qismat apni

aap ki bazm men dil apna jalaya ham ne

‘raje’ ham kis se kahen kaun sunega fariyad

is jahan men koi insan na paaya ham ne

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Girani-Zada KHak Meri baDi Hai

adil-mansuri

Tilismi Ghaar Ka darwaza

sameena-raja

Aaseb-Sifat Ye Meri Tanhai Ajab Hai

Ye Baadal Gham Ke Mausam Ke Jo chhaT Jate to Achchha Tha

Ye Jadu-E-Jamal Kisi Dida-War Se Puchh

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet