• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hunar Jo Talib-E-Zar Ho Hunar Nahin Rahta

Hunar Jo Talib-E-Zar Ho Hunar Nahin Rahta

hunar jo talib-e-zar ho hunar nahin rahta

mahal-sara men koi kuza-gar nahin rahta

bichhaḌte vaqt kisi se hamen bhi tha ye guman

ki zaḳhm kaisa bhi ho umr-bhar nahin rahta

main apne haq ke siva mangta agar kuchh aur

to mere harf-e-dua men asar nahin rahta

kuchh aur bhi guzar-auqat ke vasile hain

gada ḳhazina-e-kashkol par nahin rahta

vo kaun hai jo musafir ke saath chalta hai

ḳhayal-e-yar bhi jab ham-safar nahin rahta

jise banate sajate hain jis men rahte hain

savere aankh khule to vo ghar nahin rahta

khuli faza na rahe yaad agar parindon ko

gham-e-shikastagi-e-bal-o-par nahin rahta

ham ek shab men ka.i ḳhvab dekhte hain so ab

vo aa ke ḳhvab men bhi rat-bhar nahin rahta

‘kamal’ log bhi kya hain guman ye rakhte hain

jo bas gaya ho kahin dar-ba-dar nahin rahta

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

honTon Pe suKHan Aaankhon Mein Nam Bhi Nahin Ab Ke

Sarhad-E-Fana Tak Bhi Tirgi Nahin Aai

Ji Hai Bahut Udas Tabiat Hazin Bahut

Har Ek Shikast Ko Ai Kash Is Tarah Main Sahun

Nae Dukhon Nai KHushiyon Ki Rahguzar Mein Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet