• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hum Bhi Piyen Tumhein Bhi Pilaen Tamam Raat

Hum Bhi Piyen Tumhein Bhi Pilaen Tamam Raat

riyaz-khairabadi

ham bhi piyen tumhen bhi pilaen tamam raat

jagen tamam raat jagaen tamam raat

un ki jafaen yaad dilaen tamam raat

vo din bhi ho ki un ko sataen tamam raat

zahid jo apne roze se thoda savab de

mai-kash use sharab pilaen tamam raat

ai qais be-qarar hai kuchh kohkan ki ruuh

aati hain be-sutun se sadaen tamam raat

ta subh mai-kade se rahi botalon ki maang

barsen kahan ye kaali ghataen tamam raat

khalvat hai be-hijab hain vo jal rahi hai shama

achchha hai us ko aur jalaen tamam raat

shab-bhar rahe kisi se ham-aghoshiyon ke lutf

hoti rahen qubul duaen tamam raat

daabe rahi paron se nasheman ko raat bhar

kya kya chali hain tez havaen tamam raat

kaata hai saanp ne hamen sone bhi do ‘riyaz’

un gesuon ki li hain balaen tamam raat

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Nagri Nagri Phira Musafir Ghar Ka Rasta Bhul Gaya

nazeer-akbarabadi

Aaina Jo Hath Uske Ne Ta-der Liya

abdul-hamid-adam

Sham Hai Aur Par Naddi Ke

abid-akhtar

Jo Apne Aapko Sab Kuchh Samajh Le

Udas Aankhen Ghazal Aankhen

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet