hijr ki raat hai is ko shab-e-matam na bana
vasl lamhon ko saja zamzama-e-gham na bana
kirchiyan TuuT ke bikhri hain tire charon-taraf
reza-e-dil ko uTha zaḳhm ka marham na bana
gar bichhaḌna hai to ik faisla kar lete hain
is ko taqdir samajh dard ka mausam na bana
saare sapne baha le ja.enge aansu tere
nim-ḳhvab ankhon ko tu dida-e-pur-nam na bana
ai musavvir tire in hathon men larzish kyuun hai
rang tasvir men bhar le use maddham na bana
har musafir men ta.alluq ho zaruri to nahin
un ka dukh-dard samajh pyaar ka sangam na bana
ab to yadon ke siva kuchh nahin ‘shahnaz’ ke paas
apni avaz daba ik naya sargam na bana
Leave a Reply