• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ghair Ke dil Pe Tu Ai Yar Ye Kya Bandhe Hai

Ghair Ke dil Pe Tu Ai Yar Ye Kya Bandhe Hai

poet

ghair ke dil pe tu ai yaar ye kya bandhe hai

hai vo ik bad-farosh aur hava bandhe hai

bul-havas jama-e-uryani-e-ushshaq ko dekh

tu gareban se kyuun apna gala bandhe hai

yuun sharar chhidti hain jaise ki havai hai chhuti

ik saman aah miri ta-ba-sama bandhe hai

dil-e-sar-gashta bhi to ek bala men hai phansa

kabhi kholi hai kabhu zulf-e-dota bandhe hai

ye to tujh se na hua aave shab-e-tar men yaar

taar shikvon hi ka tu subh-o-masa bandhe hai

dekh kar toda gale ka koi dil deta hai

mundchara-pan se tu kyuun apna gala bandhe hai

bevafa manda ki rakkhi to na tujh paas rahun

kya karun paanv mira dast-e-vafa bandhe hai

naf-e-ahu men na kis tarah se ja kar vo chhupe

mushk ki mushkin tiri zulf-e-rasa bandhe hai

ek jhagadalu ki dukhtar pe hua hai ashiq

dil mira jaan ke jhagde ki bina bandhe hai

jab jafa se tiri hota huun khafa ghusse se

tuktuki meri taraf mehr-e-vafa bandhe hai

jab kaha main ne ki juude ko miri jaan tu bandh

band mahram ke main bandhunga tu kya bandhe hai

khol kar balon ko ashufta-o-barham ho kar

tere kahne se kaha meri bala bandhe hai

sahl ye taur hai ‘ehsan’ ghazal ik aur bhi likh

hai khula sab pe tu mazmun bandha bandhe hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dahshat Ke Mausam Mein Khilne Wale Phul

nida-fazli

Kabhi Kisi Ko Mukammal Jahan Nahin Milta

Nahin Jati Agar Ye Aasman Tak

Kahan Ka Sabr Sau Sau Bar Diwanon Ke Dil TuTe

insha-allah-khan-insha

Gali Sahi Ada Sahi Chin-E-Jabin Sahi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet