
Hadi Machlishahri
hazar ḳhaak ke zarron men mil gaya huun main
ma.al-e-shauq huun a.ina-e-vafa huun main
kahan ye vus.at-e-jalva kahan ye dida-e-tang
kabhi tujhe kabhi apne ko dekhta huun main
shahid-e-ishq ke jalve ki intiha hi nahin
hazar rang se aalam men ru-numa huun main
mira vajud haqiqat mira adam dhoka
fana ki shakl men sar-chashma-e-baqa huun main
hai teri aankh men pinhan mira vajud o adam
nigah pher le phir dekh kya se kya huun main
mira vajud bhi tha koi chiiz kya malum
is e’tibar se pahle hi miT chuka huun main
shumar kis men karun nisbat-e-haqiqi ko
ḳhuda nahin huun magar maz.har-e-ḳhuda huun main
mira nishan nigah-e-haq-nagar pe hai mauquf
na ḳhud-shanas huun ‘hadi’ na ḳhud-numa huun main

Leave a Reply