• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aandhi Mein Charagh Jal Rahe Hain

Aandhi Mein Charagh Jal Rahe Hain

akhtar-hoshiyarpuri

andhi men charagh jal rahe hain

kya log hava men pal rahe hain

ai jalti ruto gavah rahna

ham nange paanv chal rahe hain

kohsaron pe barf jab se pighli

dariya tevar badal rahe hain

miTTi men abhi nami bahut hai

paimane hunuz dhal rahe hain

kah de koi ja ke taeron se

chyunTi ke bhi par nikal rahe hain

kuchh ab ke hai dhuup men bhi tezi

kuchh ham bhi sharar ugal rahe hain

paani pe zara sambhal ke chalna

hasti ke qadam phisal rahe hain

kah de ye koi musafiron se

shaam aai hai saae dhal rahe hain

gardish men nahin zamin hi ‘aḳhtar’

ham bhi dabe paanv chal rahe hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ai Dil-E-Dard-Ashna Husn Se Rasm-O-Rah Kar

Hamein Apni Masafat Be-Maza Karna Nahin Hai

ghanTiyan Bajne Se Pahle Sham Hone Ke Qarib

MULLA JAMI

Chize Ki Na Rue dar Baqa Bashi Az-U

poonam-yadav

Mujhko Pyas Bujhani Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet