hayat dauḌti hai umr bhar qaza ki taraf
jaza-e-ḳhair ki janib ki phir saza ki taraf
maqam-e-fikr hai ye samt-e-fikr Thiik nahin
safar hai tez magar hai kahan ḳhuda ki taraf
rahe miyana-ravi hai yahi tariqa-e-adl
jhuken na sifr ki janib na intiha ki taraf
na jaane kaisa hai ye irtiqa zamane ka
ki lauT lauT ke jaata hai ibtida ki taraf
ye kaisi ja hai jahan hai hava bhi masnui
nikal ke bhaag chalo qudrati faza ki taraf
maraz shifa ki taḌap men qadam uThata hai
kabhi dava ki taraf aur kabhi dua ki taraf
pukarna hai tira kaam kaam kar ‘javed’
palaT ke aa.egi duniya tiri sada ki taraf
Leave a Reply