har gul se har ḳhaar se uljha rahta hai
dil hai apne yaar se uljha rahta hai
phuul ḳhafa rahte hain apni shaḳhon se
dar apni divar se uljha rahta hai
meri javani ka sathi mira a.ina
chandi ke har taar se uljha rahta hai
jaane mera sha.ir beTa kyuun aksar
daada ki talvar se uljha rahta hai
log to aḳhir log hain un se kya shikva
iisa kyuun bimar se uljha rahta hai
murat banti TuTti banti rahti hai
fan apne fankar se uljha rahta hai
Leave a Reply