har aadmi ne tah-e-dil se di dua tujh ko
tamam shahr se phir bhi raha gila tujh ko
buri lage to lage is men kya ḳhata meri
jo baat kahni thi kah di vo barmala tujh ko
na jaane kaun si us men thi maslahat pinhan
ki sach bhi kahne se aane lagi haya tujh ko
abhi to zulm ko ik fan samajh raha hai magar
kabhi to zulm ki dega ḳhuda saza tujh ko
tu band rahta hai din raat apne kamre men
to raas aa.egi kya shahr ki faza tujh ko
tu kor-zauq hai koi payam le na saka
pukarti rahi gulshan men yuun saba tujh ko
‘kamal’ par tu sitam Dha raha hai barson se
magar vo aaj bhi kahta hai ba-vafa tujh ko
Leave a Reply