hamari aj-kal himmat faqat ah-o-fughan tak hai
dil-e-betab kakul josh bas is ke bayan tak hai
qadam rakkha jo maidan-e-amal men Thokaren kha.in
hamare hauslon ki shaan bas dil se zaban tak hai
ilahi phir na hoga abr-barq-o-ra.ad gulshan men
musibat is jagah kya sirf mere ashiyan tak hai
kabhi ik din ḳhudara sarguzisht-e-ashiqan sun lo
ki un ka naam baaqi ab faqat is dastan tak hai
ta.ajjub hai nazar aata nahin tujh ko sitam apna
tire dar par abhi baaqi mire ḳhuun ka nishan tak hai
jafa aur zulm ki fariyad le kar ham kahan jaa.en
rasa.i ghair mumkin tere sang-e-astan tak hai
tira zulm-o-sitam tujh ko nahin malum ai zalim
tiri bedad ka ik shor saqf-e-asman tak hai
chalenge kaam is duniya ke mere ba.ad bhi lekin
tiri mahfil ki ye raunaq faqat mujh ḳhasta-jan tak hai
ḳhizan ja.egi jis din phir vahi josh-e-junun hoga
ḳhamoshi bagh-e-alam men mire ḳhvab-e-giran tak hai
adad se kah do jab chahe hamara imtihan kar le
hamen bhi dekhna hai hausla us ka kahan tak hai
hamari haq-parasti ki misal aisi hai ai ‘hafiz’
rahega zikr baaqi ye jahan jab tak jahan tak hai
Leave a Reply