gul hua ye kis ki hasti ka charagh
muddai ke ghar jala ghi ka charagh
khair se rahta hai raushan nam-e-nek
hashr tak jalta hai neki ka charagh
vo haqiqat hai dil-e-afsurda ki
timtimae jaise sardi ka charagh
ham se raushan hai tumhari bazm yuun
nagavara jaise garmi ka charagh
ho qanaat tujh ko to bas hai ‘zahir’
khana-arai ko damdi ka charagh
Leave a Reply