Goya Zaban Haal Thi Sahir KHamosh Tha

goyā zabān haal thī ‘sāhir’ ḳhamosh thā

ye sa.ī-e-zabt thī vo taqāzā-e-josh josh thā

parde meñ lan-tarānī thī rag rag meñ josh thā

chamkī jo barq husn na maiñ thā na hosh thā

mai-ḳhāna-e-ḳhayāl meñ mastī kā josh thā

gul thā charāġh-e-aql meñ gum-karda hosh thā

be-harf-o-saut thā merā nazāra-o-kalām

rāz-o-niyāz be-asar chashm-o-gosh thā

kaifiyateñ haiñ kuchh mujhe josh-e-junūñ kī yaad

baiThā jo koī nīsh-e-rag-e-jāñ meñ nosh thā

tere qatīl-e-ġhamza ko tan thā vabāl-e-jāñ

tere shahīd-e-nāz ko sarbār dosh thā

dil kān-e-ma.arifat kā thā ik jauhar-e-latīf

go unsurī vajūd meñ ye ḳhaak posh thā

kyā mastiyāñ thiiñ shab nigah-e-mast-e-nāz se

saaqī ba-ġhamza buġhcha-e-mai-farosh thā

miinā ne gosh-e-jām meñ jhuk kar kahā ye raaz

haq haq-e-naved-e-vasl-o-payām-e-sarosh thā

kyā kyā thiiñ husn-o-ishq meñ bāham ishārateñ

thā koī saḳht giir koī saḳht kosh thā

sarf-e-nazāra chashm thī vaqf-e-kalām-e-gosh

dil jalva-mast aur lab-e-‘sāhir’ ḳhamosh thā

Leave a Comment