goya chaman chaman na tha
aisa ujaad ban na tha
khuun se tar ravish ravish
rang-e-gul-o-saman na tha
khar-e-alam se taar taar
kaun sa pairahan na tha
sikka-e-dil kharab-hal
us ka kahin chalan na tha
aaj agar guzar gaya
kal ka koi jatan na tha
bazm-e-adab bhi dam-ba-khud
kahne ko kuchh sukhan na tha
nasr tamam tar fuzul
sher asar-e-fagan na tha
Leave a Reply