ghubar-e-fikr ko tahrir karta rahta huun
main apna dard hama-gir karta rahta huun
rida-e-lafz chaḌhata huun turbat-e-dil par
ghazal ko ḳhak-e-dar-e-‘mir’ karta rahta huun
nabard-azma ho kar hayat se apni
hamesha fat.h ki tadbir karta rahta huun
na jaane kaun sa ḳhaka kalam-e-fan Thahre
har ik ḳhayal ko tasvir karta rahta huun
badalta rahta huun girte hue dar-o-divar
makan-e-ḳhasta men ta.amir karta rahta huun
lahu ragon ka masafat nichoḌ leti hai
main phir bhi ḳhud ko safar-gir karta rahta huun
udaas rahti hain mujh men sadaqaten meri
main lab-kusha.i men taḳhir karta rahta huun
sada.en deti hain ‘salim’ bulandiyan lekin
zamin ko paanv ki zanjir karta rahta huun
Leave a Reply