ghair ki bad-gumaniyon pe na ja
be-haqiqat kahaniyon pe na ja
khinch leta hai daman-e-ehsas
phuul ki be-zabaniyon pe na ja
us ki gharat-gari ko dhyan men rakh
aql ki pasbaniyon pe na ja
sabr ki dosti ko rakh malhuz
jabr ki hukmaraniyon pe na ja
ḳhubs-e-batin ke zahr se bhi bach
mahz shirin-bayaniyon pe na ja
mustaqil zulm ka mudava kar
aarzi mehrbaniyon pe na ja
ruuh ki bhi pukar sun ‘aḳhtar’
jism ki kamraniyon pe na ja
Leave a Reply