gar mire haath men hota nahin hone deta
main kabhi chand ko tujh sa nahin hone deta
ab to sab Thiik hai lekin ye jo maazi hai na
aaj bhi tujh pe bharosa nahin hone deta
bach gaya hai jo tira thoḌa sa hissa mujh men
ab talak mujh ko kisi ka nahin hone deta
us ki taḳhliq men hota jo mira daḳhl to main
kisi miTTi ko khilauna nahin hone deta
haan maraz hai magar itna bhi koi ḳhaas nahin
charagar ḳhud mujhe achchha nahin hone deta
main to tanha huun magar aur kisi ko ‘janbaz’
apne hote kabhi tanha nahin hone deta
Leave a Reply