baad ik arse ke jab us ko qarar aaya
havas-e-muntashir ko mujtama karne ka vaqt aaya
khayal aaya na kyuun ham aisa karte hain
razm-gah-e-zindagi men phir palatte hain
dekh to len kya hua tha harim harim-e-naz men
ishq ke asrar men jazbat ke iz.har men
al-ajab va-hairata kaisa yahan hai moamla
rida-e-iffat-o-ismat use jis shakhs ne di thi
usi ki ankhon men aur qalb men nashtar chubhoti hai
ki us bakhshi hui chadar ke parde men
vo apne jism ka aur husn ka jaadu jagati hai
harim-e-naz ko bad-zaton se abad karti hai