• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Fasl-E-Bahaar Aai Hai Paimana Chahiye

Fasl-E-Bahaar Aai Hai Paimana Chahiye

poet

fasl-e-bahar aai hai paimana chahiye

bulbul ke saath nara-e-mastana chahiye

ushshaq-e-shama-e-husn ko kya kya na chahiye

parvaz-e-rang ko par-e-parvana chahiye

piiri men raat din hamen paimana chahiye

rasha ke badle laghzish-e-mastana chahiye

vahshat men baat aql ki sunna na chahiye

kanon men pamba-e-kaf-e-divana chahiye

kanghi banaun chob-e-asa-e-kalim ki

taskhir mar-e-gesu-e-janana chahiye

dariya-e-vahdat-o-chaman-e-dahr se hamen

durr-e-yagana sabza-e-begana chahiye

ab-o-ghiza-e-ashiq-e-dandan muhal hai

roz ab-o-dana-e-dur-e-yakdana chahiye

main sail-e-kamal-e-junun huun mire liye

kajkol kasa-e-sar-e-divana chahiye

asrar-e-haq hain dil men magar dil hai be-khabar

is ganj ke liye yahi virana chahiye

sair-e-bahisht chahte hain nashshe men mudam

maston ko chashm-e-hur ka paimana chahiye

go be-naqab rahte ho parde men hai hijab

dar-parda ham se aap ko chhupna na chahiye

ashiq bana ke ham ko jalate hain shama-ru

parvana chahiye unhen parvana chahiye

ai pir-e-mai-farosh dar-e-tauba ki tarah

va roz-e-hashr tak dar-e-mai-khana chahiye

ta-marg ashna na hua ek sabza rang

turbat par apni sabza-e-begana chahiye

dushman hai vo to tum bhi na ho dost ai ‘munir’

apna bura na chahiye achchha na chahiye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jo Ab Jawan Hai Wo Azm-E-Jawan Rahe Na Rahe

Ho Chuke Gum Sare KHadd-O-Khaal Manzar Aur Main

tanveer-anjum

Hum donon Mein Se Ek

Sufi

dekho Sakhi Jag Hai Piya Jag Mein Piya dista Hai Khub

poet

Salaf Se Log Un Pe Mar Rahe Hain Hamesha Jaanen Liya Karenge

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet