ik masarrat mire atraf ko anjani de
nutq ko lab se utha aankh ko hairani de
hai tamanna ki chamakte rahen mehvar ke baghair
havas-e-kham na de ishq tu la-fani de
naqsh to saare mukammal hain ab uljhan ye hai
kis ko abad kare aur kise virani de
dekh kar aae hain kuchh log vahan sabz lakir
main use dekh sakun itni giran-jani de
ye to dekhen ki hai buniyad men kya kya mahfuz
ghar banaya hai to ab varta-e-tughyani de
aks-e-rukh kaisa yahan kuchh bhi nahin hai dil men
ham ko shadab na kar hausla tufani de
samne tere ham is khaak se sharminda na hon
maut asan ho ya rizq men arzani de
jaane kya kya nazar aata hai tamanna bar-kaf
mere malik mujhe do roz ki sultani de
hausla haar gai tishna-dahani ‘haqqi’
ab tu mashkiza utha aur mujhe paani de
Leave a Reply