ik imarat na.i ta.amir hui jaati hai
shahr ki ik na.i tafsir hui jaati hai
ai mire azm-e-safar khinch ki le ja mujh ko
ik qasam paanv ki zanjir hui jaati hai
khinchne aa.i hai ab maut mire daman ko
aap ke ḳhvab ki ta.abir hui jaati hai
had to ye hai ki miri zaat ke andar bhi ab
ja-ba-ja aap ki jagir hui jaati hai
main ne to ḳhvab samundar ki hi paale the magar
ye nadi kis liye ta.abir hui jaati hai
kya ghazab hai ki tere naam ki tohmat kab se
be-sabab mere baghal-gir hui jaati hai
phuul ke jism pe titli ka lahu hai ‘fani’
kya mire ahd ki tasvir hui jaati hai
Leave a Reply