dukh fasana nahin ki tujh se kahen
dil bhi maana nahin ki tujh se kahen
aaj tak apni bekali ka sabab
khud bhi jaana nahin ki tujh se kahen
be-tarah hal-e-dil hai aur tujh se
dostana nahin ki tujh se kahen
ek tu harf-e-ashna tha magar
ab zamana nahin ki tujh se kahen
qasida ham faqir logon ka
ik thikana nahin ki tujh se kahen
ai khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost
ab-o-dana nahin ki tujh se kahen
ab to apna bhi us gali men ‘faraz’
aana jaana nahin ki tujh se kahen
Leave a Reply