• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dukh-Dard Zamane Mein uThata Hai Bhala Kaun

Dukh-Dard Zamane Mein uThata Hai Bhala Kaun

dukh-dard zamane men uThata hai bhala kaun

karte hain sabhi va.ade nibhata hai bhala kaun

ik mere siva tere liye raah men janan

ankhon ko sar-e-farsh bichhata hai bhala kaun

sab tolne baiThe hain tarazu men kudurat

andaza mohabbat ka lagata hai bhala kaun

bas mujh ko charaghon ki bahut fikr hai varna

ab diip ujalon men jalata hai bhala kaun

suraj ke ujalon ki muridi men sabhi hain

suraj se magar aankh milata hai bhala kaun

ye shaiḳh bahut jald ga.e niind ki had men

to raat ko maiḳhane men jaata hai bhala kaun

is peḌ ko kaaTo nahin rahne do zamin par

jalte hue suraj se bachata hai bhala kaun

kaafi hai tumhare liye bas itni si tardid

har baat men ab Taang phansata hai bhala kaun

sab laabh uThate hain chale jaate hain ‘anvar’

ab ishq men nuqsan uThata hai bhala kaun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ye Mujh Mein Jo Be-Intiha Tanhai Hai

Junun Shauq Yaqin Zabte Se Aai Hai

poet

Hath Malwati Hain Huron Ko Tumhaari Chudiyan

poet

Jo Mariz Ishq Ke Hain Un Ko Shifa Hai Ki Nahin

poet

Mumkin Mujhe Jo Ho Be-Riya Ho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet