dua ham-zad ho sakti diya hamraz ho sakta
main virani pe itna to asar-andaz ho sakta
ye meri ḳhamushi is intiha ki ḳhamushi hoti
kisi bhi shaam ka main nuqta-e-aghaz ho sakta
main betabana un galiyon men phirta ye mira haq tha
miri dastak pe shahr-e-ḳhvab ka dar baaz ho sakta
ye din aur raat kis janib uḌe jaate hain sadiyon se
kahin rukte to main bhi shamil-e-parvaz ho sakta
kam-az-kam ḳhak-o-ḳhun ki gum-shuda kaḌiyan hi mil jatin
sar-e-duniya ye dil itna to dar-andaz ho sakta
Leave a Reply