do umron ki rui dhun kar aaya huun
main pardes se ḳhud ko bun kar aaya huun
dariya se yaari bhi kitni mushkil hai
main kashti ke TukḌe chun kar aaya huun
tum ko kitna shauq hai phone pe baton ka
aaj bhi boss ki baten sun kar aaya huun
jaane kaun chura leta tha mera vaqt
wall-clock pe jaala ban kar aaya huun
aaj ki shaam guzarenge ham chhatri men
barish hogi ḳhabren sun kar aaya huun
dost ko samjhane ki ḳhatir aaya tha
anjane men ḳhud ko Tun kar aaya huun
Leave a Reply