dil mujhe samjhata hai to dil ko samjhata huun main
jaane kaise aql ki baton men aa jaata huun main
din mujhe har din bana leta hai apna yarghamal
raat jab aati hai to khud ko chhuda laata huun main
koi jhuta vaada bhi karta nahin hai vo kabhi
khud umiden bandh leta huun bahal jaata huun main
zinda rahne ka mujhe fan aaj tak aaya nahin
phir bhi jiina chahta huun kya ghazab dhata huun main
daal kar ankhon men ankhen karni hai kuchh guftugu
zindagi ai zindagi to ruk abhi aata huun main
main ne dariya ke havale kar diya hai tan-badan
maujon ki rau men khamoshi se baha jaata huun main
ab na aaega mire sheron men tera tazkira
ai miri jan-e-ghazal teri qasam khata huun main
shiddat-e-gham hi ilaj-e-gham bhi hota hai ‘kamal’
badhti hain tarikiyan to raushni paata huun main
Leave a Reply