dhundhta haq ko dar-ba-dar hai tu
vaae apne se be-khabar hai tu
shan-e-haq ashkar hai tan se
mujid-e-kull-e-khair-o-shar hai tu
ek men kya vajud-e-jumla-zuhur
kul men khud aap ba-asar hai tu
qudrat-e-kamila ko ghaur to kar
bahr-e-yaktai ka guhar hai tu
miit apni khudi khuda ko pa
nafa hasil ho kya agar hai tu
muqtadir aap har sabab ka hai
is liye ho gaya bashar hai tu
khair-o-shar ke hijab men kab tak
zulmat-e-kufr ka sahar hai tu
teri hi shan-e-kul huvaida hai
banda kahta hai kyuun kidhar hai tu
aap har shai men jalva-farma hain
be-khabar kya hai ba-khabar hai tu
mujh pe ilzam aa nahin sakta
har tarah se idhar udhar hai tu
koi kuchh qalb kya kare tujh ko
be-ghul-o-ghash vo saaf zar hai tu
kah raha hai hamesha inni ana
jumla aama ka rahbar hai tu
jo hai manzur ho raha vahi
kis natije ka muntazar hai tu
bil-yaqin haq ki shaan hai teri
mukhtasar ye hai mukhtasar hai tu
naam tera khuda-numa hai hijab
dida-e-did ka basar hai tu
koi paata nahin tujhe ‘markaz’
du-ba-du aap jalva-gar hai tu
Leave a Reply