dekhti ankhon ne dekha hai shabistanon men
jazba marne ka abhi zinda hai parvanon men
kitna pur-haul hai mahaul shab-e-furqat ka
ḳhuun bhi ḳhushk hua jaata hai shiryanon men
kaam aaya na gala phaḌta ai shaiḳh tira
nazar aati hain vahi raunaqen mai-ḳhanon men
sitam-e-taza pe yuun shukr-e-sitam karta huun
jaise ik aur izafa hua ehsanon men
ai ‘vafa’ ahl-e-zaban ki hai inayat ye bhi
ki shumar aaj hamara hai zaban-danon men
Leave a Reply