dekha hai jis ne yaar ke rukhsar ki taraf
hargiz na jaave sair kuun gulzar ki taraf
aina-dil ki chashm men nuur jamal dost
raushan hua hai har dar-o-divar ki taraf
manzur hai salamati-e-khun agar tujhe
mat dekh us ki nargis-e-bimar ki taraf
vahan nahin baghair jauhar-e-shamshir khun-baha
zahid na ja vo zalim-e-khunkhar ki taraf
hai dil kuun azm-e-chauk umid-e-visal par
divana ka khayal hai bazar ki taraf
kya puchhte ho tum ki tira dil kidhar gaya
dil ka makan kahan? yahi dildar ki taraf
parvana kuun nahin hai magar khauf-e-jan ‘siraj’
nahaq chala hai shola-e-didar ki taraf
Leave a Reply