dahr men naqsh-e-vafa vajh-e-tasalli na hua
hai ye vo lafz ki sharminda-e-maani na hua
sabza-e-khat se tira kakul-e-sarkash na daba
ye zamurrad bhi harif-e-dam-e-afi na hua
main ne chaha tha ki andoh-e-vafa se chhutun
vo sitamgar mire marne pe bhi raazi na hua
dil guzargah-e-khayal-e-mai-o-saghar hi sahi
gar nafas jada-e-sar-manzil-e-taqvi na hua
huun tire vaada na karne men bhi raazi ki kabhi
gosh minnat-kash-e-gulbang-e-tasalli na hua
kis se mahrumi-e-qismat ki shikayat kiije
ham ne chaha tha ki mar jaaen so vo bhi na hua
mar gaya sadma-e-yak-jumbish-e-lab se ‘ghalib’
na-tavani se harif-e-dam-e-isi na hua
na hui ham se raqam hairat-e-khatt-e-rukh-e-yar
safha-eaina jaulan-gah-e-tuti na hua
vusat-e-rahmat-e-haq dekh ki bakhsha jaave
mujh sa kafir ki jo mamnun-e-maasi na hua
Leave a Reply