• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chashm Ko Saunpi Gai KHidmat-E-KHwab

Chashm Ko Saunpi Gai KHidmat-E-KHwab

chashm ko saunpi ga.i ḳhidmat-e-ḳhvab

dil pe taari hai ajab halat-e-ḳhvab

ḳhvab ab ke na haqiqat ho jaa.e

ab ke aisi hai miri shiddat-e-ḳhvab

main ne paḌh li hain tiri bhi ankhen

sirf mujh par na laga tohmat-e-ḳhvab

tujh ko muzhda ho miri aankh ki ab

mujh men baaqi na rahi himmat-e-ḳhvab

ḳhvab maḳhfi hi rahe sab se yahan

kaun karta hai bhala izzat-e-ḳhvab

meri ankhon men guhar hain kitne

mujh ko hasil hai bahut daulat-e-ḳhvab

tum ki jalvat se gurezan ho bahut

ab to aa jaao ki hai ḳhalvat-e-ḳhvab

us ke pahre hain miri ankhon par

us ko ma.alum hai kya quvvat-e-ḳhvab

kitna be-ḳhvab kiya hai tu ne

chhoḌ pichha mira ai afat-e-ḳhvab

bas kaleja hi chaba jaati hai

kitni ḳhunḳhar hai ye vahshat-e-ḳhvab

ka.enat aur hayat ai ‘ḳhalid’

ḳhvab men jaise koi sa.at-e-ḳhvab

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Chahat Ka Sansar Hai jhuTa Pyar Ke Sat-Samundar jhuT

Kar Ke Dil Ko Shikar Aankhon Mein

sara-shagufta

Charagh Jab Mera Kamra Napta Hai

Tere Dar Se uThe Gham uThate Rahe

Sahar Ke Baad Bhi Jo Log Jagne Se Rahe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet