• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Chandi Jaisa Rang Hai Tera Sone Jaise Baal

Chandi Jaisa Rang Hai Tera Sone Jaise Baal

qateel-shifai

chandi jaisa rang hai tera sone jaise baal

ik tu hi dhanvan hai gori baaqi sab kangal

har angan men aae tere ujle ruup ki dhuup

chhail-chhabeli raani thoda ghunghat aur nikal

bhar bhar nazren dekhen tujh ko ate-jate log

dekh tujhe badnam na kar de ye hirni si chaal

kitni sundar naar ho koi main avaz na duun

tujh sa jis ka naam nahin hai vo ji ka janjal

samne tu aae to dhadken mil kar lakhon dil

ab jaana dharti par kaise aate hain bhaunchal

beach men rang-mahal hai tera khaai charon or

ham se milne ki ab gori tu hi raah nikal

kar sakte hain chaah tiri ab ‘sarmad’ ya ‘mansur’

mile kisi ko daar yahan aur khinche kisi ki khaal

ye duniya hai khud-gharazon ki lekin yaar ‘qatil’

tu ne hamara saath diya to jiye hazaron saal

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

noon-meem-rashid

Raqs Ki Raat

poet

Tu Harf-E-Akhiri Mera Qissa Tamam Hai

poet

Kyun dekhte Hi Naqsh-Ba-diwar Ban Gae

shakeel-badayuni

Haqiqat-E-Gham-E-Ulfat Chhupa Raha Hun Main

Mohabbaton Ka Chaman Paemal Humne Kiya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet