bu-e-gul khinche na gulshan men gul-e-tar khinche
shauq-e-didar tira ham ko hai dar dar khinche
tu mujhe chahe magar main tujhe chahun kaise
baat jab hai mira dil bhi tira paikar khinche
main ki manzil ka talabgar na samton ka asiir
tu ki dariya jise har lamha samundar khinche
jabr ke saath ibadat men maza kya hoga
shauq se laakh hamen masjid-o-mimbar khinche
kab rahi teri tamanna dam-e-ruḳhsat mujh ko
koi bhi ruuh ko is jism se bahar khinche
ek hi pal men simaT jaa.e safar sadiyon ka
yuun nigahon men qayamat ka vo manzar khinche
Leave a Reply