• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Bol! Ari O dharti Bol!

Bol! Ari O dharti Bol!

asrarul-haq-majaz

bol! ari o dharti bol!

raaj singhasan danvadol

badal bijli rain andhyari

dukh ki maari parja saari

budhe bachche sab dukhiya hain

dukhiya nar hain dukhiya naari

basti basti luut machi hai

sab baniye hain sab byopari

bol! ari o dharti bol!

raaj singhasan danvadol

kaljug men jag ke rakhvale

chandi vaale sone vaale

desi hon ya pardesi hon

niile piile gore kaale

makkhi bhinge bhin bhin karte

dhunde hain makdi ke jaale

bol! ari o dharti bol!

raaj singhasan danvadol

kya afrangi kya tatari

aankh bachi aur barchhi maari

kab tak janta ki bechaini

kab tak janta ki be-zari

kab tak sarmaya ke dhande

kab tak ye sarmaya-dari

bol! ari o dharti bol!

raaj singhasan danvadol

naami aur mashhur nahin ham

lekin kya mazdur nahin ham

dhoka aur mazduron ko den

aise to majbur nahin ham

manzil apne paanv ke niche

manzil se ab duur nahin ham

bol! ari o dharti bol!

raaj singhasan danvadol

bol ki teri khidmat ki hai

bol ki tera kaam kiya hai

bol ki tere phal khaae hain

bol ki tera duudh piya hai

bol ki ham ne hashr uthaya

bol ki ham se hashr utha hai

bol ki ham se jaagi duniya

bol ki ham se jaagi dharti

bol! ari o dharti bol!

raaj singhasan danvadol

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jo Is Chaman Mein Ye Gul Sarw-O-Yasman Ke Hain

poet

Be-Khayali Mein Kaha Tha Ki Shanasai Nahin

shah-naseer

Haar Bana In Para-E-dil Ka Mang Na Gajra Phulon Ka

Judaiyon Ke Tasawwur Hi Se Rulaun Use

aatish-indori

Kash Main Tujh Sa Bewafa Hota

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet