bazm-e-dushman men ja ke dekh liya
le tujhe aazma ke dekh liya
tum ne mujh ko sata ke dekh liya
har tarah aazma ke dekh liya
un ke dil ki kuduraten na mitin
apni hasti mita ke dekh liya
kuchh nahin kuchh nahin mohabbat men
khuub ji ko jala ke dekh liya
kuchh nahin juz ghubar-e-kin-o-inad
ham ne dil men sama ke dekh liya
na mile vo kisi tarah na mile
ghair ko bhi mila ke dekh liya
kya mila naala o fughan se ‘zahir’
hashr sar par utha ke dekh liya
Leave a Reply