bahte dariyaon men paani ki kami dekhna hai
umr bhar mujh ko yahi tishna-labi dekhna hai
ranj dil ko hai ki ji bhar ke nahin dekha tujhe
khauf is ka tha jo ainda kabhi dekhna hai
shab ki tariki dar-e-khvab hamesha ko band
chand din baad to duniya men yahi dekhna hai
khuun ke qatron ne tufan utha rakkha hai
ab rag-o-pai men mujhe barf jami dekhna hai
kis tarah rengne lagte hain ye chalte hue log
yaaro kal dekhoge ya aaj abhi dekhna hai
Leave a Reply