ashk jab dida-e-tar se nikla
ek kanTa sa jigar se nikla
phir na main raat gae tak lauTa
dubti shaam jo ghar se nikla
ek mayyat ki tarah lagta tha
chand jab qaid-e-sahar se nikla
mujh ko manzil bhi na pahchan saki
main ki jab gard-e-safar se nikla
haae duniya ne use ashk kaha
ḳhuun jo zaḳhm-e-nazar se nikla
ik amavas ka nasiba huun main
aaj ye chand kidhar se nikla
jab uḌa janib-e-manzil ‘aḳhtar’
ek sho.ala mire par se nikla
Leave a Reply