
Poet
andhere laakh chha jaa.en ujala kam nahin hota
charagh-e-arzu jal kar kabhi maddham nahin hota
masiha vo na hon to dard-e-ulfat kam nahin hota
ye zaḳhm-e-ishq hai is zaḳhm ka marham nahin hota
gham-e-janan ko jan-e-jan bana le dekh divane
gham-e-janan se baḌh kar aur koi gham nahin hota
talab ban kar miri har dam vo mere saath rahte hain
kabhi tanha miri tanha.i ka aalam nahin hota
tumhara astana chhoḌ kar aḳhir kahan ja.un
diya hai dard-e-dil tum ne vo dil se kam nahin hota
mira tan-man jala kar tu ne zalim ḳhaak kar Daala
magar ai soz-e-ulfat tera sho.ala kam nahin hota
tere dar se mujhe itni mohabbat ho ga.i janan
tire dar ke alava sar kahin bhi ḳham nahin hota
badalti hi nahin qismat mohabbat karne valon ki
tasavvur yaar ka jab tak ‘fana’ paiham nahin hota
samajh liije ki jazb-e-dil men hai koi kami baaqi
agar didar un ka ishq men har dam nahin hota

Leave a Reply