ajab kashakash-e-bim-o-raja hai tanha.i
tire baghair tira samna hai tanha.i
na.e dinon ki saliben ga.e dinon ke mazar
azaab ḳhud se mulaqat ka hai tanha.i
faza men hain kisi tufan-e-tund ke asar
safar tavil hai aur rasta hai tanha.i
bahut udaas hai dil doston ki mahfil men
har ek aankh men chehra-numa hai tanha.i
shagufta phulon ka gul-dasta sohbat-e-yaran
bikharte patton ka ik Dher sa hai tanha.i
main aftab ko kaise dikha.un tariki
tujhe main kaise bata.un ki kya hai tanha.i
ajab sukun tha shab ansuon ki barish men
vo gham-gusar vo dard-ashna hai tanha.i
vo ḳhvab kya tha ki jis ki hayat hai ta.abir
vo jurm kya tha ki jis ki saza hai tanha.i
nahin mile the to tanha.i kis qadar thi ‘ziya’
vo mil ke bichhḌe to us se siva hai tanha.i
Leave a Reply