• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aisi Hui Sarsabz-Shikayat Ki Kadi Baat

Aisi Hui Sarsabz-Shikayat Ki Kadi Baat

poet

aisi hui sarsabz-shikayat ki kadi baat

sabze ki tarah kaan men us gul ki padi baat

kyunkar dahan-e-tang se zahir ho kadi baat

munh aap ka chhota hai na niklegi badi baat

gul-rang tire honth hue bar-e-sukhan se

ai jaan uda le gai missi ki dhadi baat

tere sukhan-e-sakht men hai husn-e-nazakat

kanon ko hui pamba-e-mahtab kadi baat

is pech se tum mujh ko udate ho dam-e-nutq

zanjir-e-ram-e-hosh ki banti hai kadi baat

taqrir tiri shakh-e-gul-e-taza hai ai mast

deti hai kaf-e-bada men phulon ki chhadi baat

vasf-e-dur-e-dandan se ye badh jaate hain rutbe

rag rag ko bana deti hai moti ki ladi baat

har kaan hua hai sabad-e-gul se ziyada

kya phuul ke manind tire munh se jhadi baat

dhota hai sukhan dil se ghubar-e-gham-e-duniya

hai gard-e-alam ke liye savan ki jhadi baat

kya mohr banai tire yaqut-e-sukhan ki

manind-e-nagin ham ne anguthi men jadi baat

naqd-e-sukhan-e-pak diya gard-e-qalaq men

ganjine ke manind tah-e-khak gadi baat

jis roz main ginta huun tire aane ki ghadiyan

suraj ko bana deti hai sone ki ghadi baat

ustad ke ehsan ka kar shukr ‘munir’ aaj

ki ahl-e-sukhan ne tiri tarif badi baat

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

noshi-gilani

Bahut Tarik Sahra Ho Gaya Hai

Ki Is Se Pahle KHizan Ka Shikar Ho Jaun

Kuchh Log to Itni Bhi Murawwat Nahin Karte

makDi Ke Jalon Mein Kab Se Qaid Hain Raushan-Dan Mare

paDa Hua Main Kisi Aaine Ke Ghar Mein Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet