• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Agarche Mujhko Judai Teri Gawara Nahin

Agarche Mujhko Judai Teri Gawara Nahin

qateel-shifai

agarche mujh ko judai tiri gavara nahin

sivae is ke magar aur koi chara nahin

khushi se kaun bhulata hai apne pyaron ko

qusur is men zamane ka hai tumhara nahin

tumhare zikr se yaad aae kya ghata ke siva

hamare paas koi aur istiara nahin

ye iltifat ki bhiik apne paas rahne de

tire faqir ne daman kabhi pasara nahin

mira to sirf bhanvar tak safina pahuncha hai

tujhe to dubne valon ne bhi pukara nahin

har ek rabt tire vaste se tha varna

bhare jahan men koi ashna hamara nahin

jo teri diid ne bakhshe vahi hain zakhm bahut

ab apne dil men koi hasrat-e-nazara nahin

bana sakun jise jhumar tumhare mathe ka

falak pe aaj bhi aisa koi sitara nahin

chalae jaao ‘qatil’ apna karobar-e-vafa

jo is men jaan bhi jaae to kuchh khasara nahin

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Yun bhaTakne Mein Ki Hai Basar Zindagi

nazeer-akbarabadi

Rakhte Hain Jo Hum Chah Tumhaari dil Mein

Ye Marhala Hai Mere Aazmae Jaane Ka

zehra-nigaah

Suna Hai

poet

Zindagi Usko Ras Aai Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet