ada men bankpan andaz men ik aan paida kar
tujhe ma.ashuq banna hai to puuri shaan paida kar
kahan ka vasl kaisi aarzu ai dil vo kahte hain
na main hasrat karun puuri na tu arman paida kar
hamara intiḳhab achchha nahin ai dil to phir tu hi
ḳhayal-e-yar se behtar koi mehman paida kar
mujhe hai rashk us ko bhi raqib apna samajhta huun
na dekhe jo tujhe aisa koi darban paida kar
ḳhayal-e-zabt-e-ulfat hai to ‘ahsan’ phir ḳhatar kaisa
na dhaḌke dil bhi siine men vo itminan paida kar
Leave a Reply