achchha hai vo bimar jo achchha nahin hota
jab tajribe hote hain to dhoka nahin hota
jis lafz ko main toḌ ke ḳhud TuuT gaya huun
kahta bhi to vo us ko gavara nahin hota
teri hi tarah aata hai ankhon men tira ḳhvab
sachcha nahin hota kabhi jhuTa nahin hota
takzib-e-junun ke liye ik shak hi bahut hai
barish ka samay ho to sitara nahin hota
kya kya dar-o-divar miri ḳhaak men gum hain
par us ko mira jism gavara nahin hota
ya dil nahin hota mire hone ke sabab se
ya dil ke sabab se mira hona nahin hota
kis ruḳh se tayaqqun ko tabi.at men jagah den
aisa nahin hota kabhi vaisa nahin hota
ham log jo karte hain vo hota hi nahin hai
hona jo nazar aata hai hona nahin hota
jis din ke guzarte hi yahan raat hui hai
ai kaash vo din main ne guzara nahin hota
jab ham nahin hote yahan aate hain taghayyur
jab ham yahan hote hain zamana nahin hota
ham un men hain jin ki koi hasti nahin hoti
ham TuuT bhi jaa.en to tamasha nahin hota
Leave a Reply